Sunday 11 March 2012

Daughters are Angels

Every Parent and Child must share this.....
Dear friends....must read.....

Although..... for a father there is no difference between a daughter and a son...but ..... still there exists something that makes the relation between a father and his daughter very special. ....... A father knows that ....... son can, somehow, survive in the harsh world that exists on the other side of the doorstep. ............ However, he cannot fathom and understa...nd, being a man, how his little daughter is going to fare and face the realities of life. This makes him insecure and this feeling overshadows his relationship with the daughter. It makes him protective towards his daughter ..... some times even a small thought of marriage of his daughter ...make his eyes moist.....

''Kya likhun ?…

Ki woh pariyon ka roop hoti hai…
Ya kadakti thand mein suhaani dhoop hoti hai…

Wo hoti hai udaasi ke har marz ki dawa ki tarah…
Ya umas mein sheetal hawa ki tarah…

Woh chidiyon ki chehchahahat hai,
Ya ke nishchal khilkilahat hai…

Woh aangan mein faila ujaala hai..
Ya mere gusse pe laga taala hai…
Woh pahad ki choti pe suraj ki kiran hai…
Ya zindagi sahi jeene ka aacharan hai…

Hai woh takat jo chote se ghar ko mahal bana de…
Hai woh kaafiya jo kisi gazal ko mukkamal kar de…

Kya likhun ??…
Woh akshar jo na ho toh varn maala adhoori hai…
Woh, jo sabse zaada zaroori hai…

ye nahi kahunga ki woh har waqt saath saath hoti hai,
Betiyaan toh sirf ek ehsaas hoti hain.......
Betiyaan toh sirf ek ehsaas hoti hain....

Woh mujhse videsh mein chuttiyaan, car to drive,
badiya hotel mein dinner ya mehenge Ipods nahi mangti…
Na woh dher se paise piggy bank mein udhelna chahti hai
Woh bas kuch der mere saath khelna chahti hai…

Aur main kehta hoon yehi…
ki beta bahut kaam hai.. nahi karunga toh kaise chalega…
Majboori bhare duniya daari ke jawaab dene lagta hoon…

Aur woh jhuta hi sahi,
Mujhe ehsaas dilati hai..
Ki jaise sab kuch samajh gayi ho..
Lekin aankhein band kar ke roti hai…
Jaise sapne mein khelte hue mere saath soti hai..

Zindagi na jaane kyun itni ulajh jaati hai…
Aur hum samajhte hain, betiyaan sab samajh jaati hain.

Thanking You
Atul Sikrai
Chief Mentor
Esteem MeLife

No comments:

Post a Comment